is sāya-dār peḌ ko jaḌ se ukhāḌ ke
kyā mil gayā tujhe mirī duniyā ujaaḌ ke
ab aur intizār kar ai khokhle badan
maiñ aa rahā huuñ madd-e-muqābil pachhāḌ ke
tanhā mujhe basīt ḳhalā meñ uḌā diyā
ham-zād ne bayyaz-e-tasalsul se phaaḌ ke
kyuuñ chāñd kī taraf haiñ ravāñ kam-nigāh log
dil kī ridā se azmat-e-pastī ko jhaaḌ ke
is ḳhud-numā kī rif.at-e-buniyād dekhiye
paañv zamīn-bos haiñ ūñche pahāḌ ke
shohrat kī aag asl meñ ik naqsh-e-dūd thī
bujh kar bikhar ga.ī tirā huliya bigāḌ ke