bulandiyoñ se vo be-dāġh nuur ubhar aa.e
hazār rañg tahī vus.atoñ meñ bhar aa.e
khile nigāh kī shāḳhoñ pe intizār ke phuul
havā meñ uḌte hue bādbāñ nazar aa.e
laboñ se bichhḌe hue qahqahe tirī mānind
ruteñ guzar ga.iiñ lekin na lauT kar aa.e
bujhī bujhī huī āñkheñ bhañvar bhañvar chehre
jab āftāb kī lau bujh rahī thī ghar aa.e
buland-o-past pahāḌoñ ke silsiloñ kī tarah
ham apne aap ko bhī muntashir nazar aa.e
nadī nasheb-numā uljhanoñ meñ Duub ga.ī
nihāñ sukūt tah-e-āb se ubhar aa.e