maiñ vo dariyā huuñ chaḌhā ho jo utarne ke liye
jī rahā huuñ maiñ yahāñ ham-zād marne ke liye
chā.e-ḳhāne kī nashistoñ par jarīdoñ ke varaq
peḌ se patte jhaḌe uḌne bikharne ke liye
ek maiñ madd-e-muqābil vus.at-e-āfāq meñ
aur saarī tāqateñ gumrāh karne ke liye
hāfiza vīrān hone ke liye ābād thā
naam kuchh hoñToñ pe aa.e the bisarne ke liye
kār-ḳhānoñ ko chale amboh-dar-amboh log
jānvar nikle charāgāhoñ meñ charne ke liye
raushnī meñ ḳhauf kā ehsās tak hotā nahīñ
kar diyā hai off Teble-lamp Darne ke liye