saare manzar ḳhaak hote jā rahe haiñ dosto
ham ne jo paayā hai khote jā rahe haiñ dosto
aao paidal hī safar ke silsiloñ ko rauñd deñ
baiThe baiThe bāñjh hote jā rahe haiñ dosto
saañs kī Dorī meñ ujḌe mausamoñ kī sīpiyāñ
ik tasalsul se pirote jā rahe haiñ dosto
tairtī muḌ muḌ ke taktī kashtiyoñ ke bādbāñ
rafta rafta duur hote jā rahe haiñ dosto
nā-samajh is sar-zamīn par aane vāloñ ke liye
nit na.e bohrān bote jā rahe haiñ dosto
ye ghanī chhāñv paḌāv thī na.e āġhāz kā
is ghanī chhāñv meñ sote jā rahe haiñ dosto