Maratib Akhtar

paiwand-e-nau zamin ki rida se laga diya

Maratib Akhtar

paivand-e-nau zamīñ ridā se lagā diyā

maiñ hissa-e-fanā thā fanā se milā diyā

pal meñ sameT hai sadī tavīl raat

phailā ke ek din ko zamāna banā diyā

us ne mujhe dikhā ke mirī samt dekh kar

titlī par hathelī pe rakh kar uḌā diyā

har vaqt ik ye dhun hai ki meñ tajziya karūñ

mujh ko mire junūn-e-tajassus ne kyā diyā

Top Urdushayar.com