umr bhar kuchh ḳhvāb dil par dastakeñ dete rahe
ham ki majbūr-e-vafā the āhaTeñ sunte rahe
jab taḳhayyul isti.āroñ meñ Dhalā to shahr meñ
der tak husn-e-bayāñ ke tazkire hote rahe
diip yādoñ ke jale to ek bechainī rahī
itnī bechainī ki shab bhar karvaTeñ lete rahe
ek uljhan raat din paltī rahī dil meñ ki ham
kis nagar kī ḳhaak the kis dasht meñ Thahre rahe
ham 'baqā' ik ret kī chādar ko oḌhe der tak
dasht-e-māzī ke sunahre ḳhvāb meñ kho.e rahe