Sarshar Siddiqui

mere badan mein thi teri KHushbu-e-pairahan

Sarshar Siddiqui

Kanpur, Uttar pradesh, India

1926-2008
mere badan meñ thī tirī ḳhushbū-e-pairahan
shab bhar mire vajūd meñ mahkā tirā badan
huuñ apne hī hujūm-e-tamannā meñ ajnabī
maiñ apne hī dayār-e-nafas meñ jilā-vatan
sab pattharoñ pe naam likhe the rafīqoñ ke
har zaḳhm-e-sar hai sañg-e-malāmat pe ḳhanda-zan
ab dasht-e-be-amāñ hī meñ shāyad mile panāh
ghar kī khulī fazā meñ to baḌhne lagī ghuTan
har aadmī hai paikar-e-fariyād in dinoñ
har shaḳhs ke badan pe hai kāġhaz kā pairahan
ḳhush-fahm haiñ ki sirf rivāyat parast haiñ
ḳhush-fikr the ki le uḌe tārīḳh kā kafan
is daur meñ yahāñ bhī filistīn kī tarah
kuchh log be-zamīñ hue kuchh log be-vatan
misl-e-sabā koī idhar aayā udhar gayā
ghar meñ basī huī hai magar bū-e-pairahan
'sarshār' maiñ ne ishq ke ma.anī badal diye
is āshiqī meñ pahle na thā vasl kā chalan
Top Urdushayar.com