ab nahīñ dard chhupāne kā qarīna mujh meñ
kyā karūñ bas gayā ik shaḳhs anokhā mujh meñ
us kī āñkheñ mujhe mahsūr kiye rakhtī haiñ
vo jo ik shaḳhs hai muddat se saf-ārā mujh meñ
apnī miTTī se rahī aisī rifāqat mujh ko
phailtā jaatā hai ik ret kā sahrā mujh meñ
mere chehre pe agar karb ke āsār nahīñ
ye na samho ki nahīñ koī tamannā mujh meñ
maiñ kināre pe khaḌā huuñ to koī baat nahīñ
bahtā rahtā hai tirī yaad kā dariyā mujh meñ
Duub to jā.ūñ tirī mad-bharī ā.ankhoñ meñ magar
laḌkhaḌāne kā nahīñ hausla itnā mujh meñ
jab se ik shaḳhs ne dekhā hai mohabbat se 'baqā'
phailtā jaatā hai har roz ujālā mujh meñ