shahr meñ jab bhī zuleḳhā se ḳharīdār aa.e
kitne yūsuf the ki ḳhud hī sar-e-bāzār aa.e
chheḌ dī qāmat-o-gesū kī hikāyat ham ne
kisī sūrat se to zikr-e-rasan-o-dār aa.e
jab bhī zindāñ meñ asīroñ ko milā muzhda-e-gul
merī nazroñ meñ tumhāre lab-o-ruḳhsār aa.e
dūsrī rāh-e-vafā meñ koī manzil hī na thī
jo tirī bazm se uTThe vo sar-e-dār aa.e
jab kyā tark-e-tamannā kā irāda ham ne
sāmne kitne hī TuuTe hue pindār aa.e
hosh-mandoñ ne sajā lī ġham-e-dil kī mahfil
ham se dīvāne sar-e-anjuman-e-dār aa.e
ham se sīkhe koī ādāb qadah-noshī ke
ham ki maiḳhāne meñ ġhāfil ga.e hoshiyār aa.e
ġhaur se dekh suḳhan-fahmoñ ke chehre 'sarshār'
kitne is shakl meñ 'ġhālib' ke taraf-dār aa.e