Zain-ul-Abideen Khan Arif

is dar pe mujhe yar machalne nahin dete

Zain-ul-Abideen Khan Arif

Delhi, India

1817
is dar pe mujhe yaar machalne nahīñ dete
armān mire jī ke nikalne nahīñ dete
dam dam meñ ḳhabar pahuñche hai jo aane kī apnī
hai jaan laboñ par vo nikalne nahīñ dete
āshob-e-qayāmat se zi-bas ḳhauf hai sab ko
do chaar qadam bhī unheñ chalne nahīñ dete
jaatā hai safā-e-ruḳh-e-dildār pe jab dil
maqdūr tak apne to phisalne nahīñ dete
aadat meñ karo farq na tum apnī nigah se
kyuuñ zahr use aaj ugalne nahīñ dete
vo parda-nashīnī kī ri.āyat hai tumhārī
ham baat bhī ḳhalvat se nikalne nahīñ dete
ye dast-basar rahne kā 'ārif' vo mahal hai
us jā kaf-e-afsos bhī malne nahīñ dete
Top Urdushayar.com