Zain-ul-Abideen Khan Arif

qail bhala hon nama-bari mein saba ke KHak

Zain-ul-Abideen Khan Arif

Delhi, India

1817
qaa.il bhalā hoñ nāma-barī meñ sabā ke ḳhaak
phirtī hai vo bhī galiyoñ meñ aksar uḌā ke ḳhaak
kahtā huuñ soz-e-dil se ki kar chuk jalā ke ḳhaak
ek baat par jo yaar ne jaanī uThā ke ḳhaak
kyā kāñptā hai nāla-e-sozāñ se ai falak
jab baat thī ki mujh ko kiyā ho jalā ke ḳhaak
paanī nikal ke dasht meñ jaarī hai jā-ba-jā
yā-rab gayā hai kaun ye sar par uḌā ke ḳhaak
dāman uThā uThā ke jo bachtā huā chalā
kyuuñ hoveñ mar ke kūche meñ is bevafā ke ḳhaak
rizvāñ abīr-e-ḳhuld se badlūñ na zīnhār
ḳhushbū hai kūche meñ vo mire mah-laqā ke ḳhaak
'ārif' ko yaaro ham to samajhte the ahl-e-dīñ
dariyā meñ log aa.e haiñ us kī bahā ke ḳhaak
Top Urdushayar.com