Zain-ul-Abideen Khan Arif

jahan se dosh-e-azizan pe bar ho ke chale

Zain-ul-Abideen Khan Arif

Delhi, India

1817
jahāñ se dosh-e-azīzāñ pe baar ho ke chale
ye sū-e-mulk-e-adam sharmsār ho ke chale
hamāre dekhne ko ḳhush abhī se haiñ a.adā
zarā na dekh sake ashk-bār ho ke chale
pahuñch hī jāoge mai-ḳhāne meñ ḳhizar tum bhī
hamāre saath jo yāroñ ke yaar ho ke chale
tumhārī rah kā rahā ham ko har taraf dhokā
chale jidhar ko so be-iḳhtiyār ho ke chale
sanā-nigār ye hai kis ke ḳhalq kā 'ārif'
qalam varaq pe na kyuuñ ashk-bār ho ke chale
Top Urdushayar.com