Zain-ul-Abideen Khan Arif

na-tawani mein palak ko bhi hilaya na gaya

Zain-ul-Abideen Khan Arif

Delhi, India

1817
nā-tavānī meñ palak ko bhī hilāyā na gayā
dekh ke un ko ishāre se bulāyā na gayā
saḳht-tar sañg se bhī dil hai unhoñ kā shāyad
naqsh jis par kisī unvān biThāyā na gayā
gulshan-e-ḳhuld meñ har-chand ki dil bahlāyā
kūcha-e-yār magar dil se bhulāyā na gayā
shikan-e-zulf se dil saaf nazar aatā hai
is añdhere meñ ta.ajjub hai chhupāyā na gayā
dekh kar kal vo mirā hāl-e-pareshāñ 'ārif'
aisā ghabrā.e ki āñkhoñ ko churāyā na gayā
Top Urdushayar.com