kyā kyā nahīñ kiyā magar un par asar nahīñ
shāyad ki apnī sa.i-e-junūñ kār-gar nahīñ
ghabrā ke chāhte haiñ ki gardish meñ ham raheñ
manzil kahīñ na ho koī aisā safar nahīñ
mil jaa.e ek raat mohabbat kī zindagī
phir ḳhvāhish-e-hayāt hameñ umr-bhar nahīñ
āvārgī meñ lutf o aziyyat ke bāvajūd
aisā nahīñ huā hai ki fikr-e-sahar nahīñ