Zain-ul-Abideen Khan Arif

kyun aaine mein dekha tu ne jamal apna

Zain-ul-Abideen Khan Arif

Delhi, India

1817
kyuuñ ā.īne meñ dekhā tū ne jamāl apnā
dekhā to ḳhair dekhā par dil sambhāl apnā
us kā ho jab tasavvur kab ho ḳhayāl apnā
kaisī musībat apnī kaisā ḳhayāl apnā
khoyā ġham-e-rifāqat dekho kamāl apnā
bahkā diyā hai sab ko dikhlā ke haal apnā
bin dekhe terī sūrat jiinā vabāl apnā
bin aa.e tere zālim marnā muhāl apnā
ḳhirman to dekh lete bijlī balā se girtī
hotā thā khet 'ārif' yuuñ pā.emāl apnā
Top Urdushayar.com