Zain-ul-Abideen Khan Arif

wahshat mein yaad aae hai zanjir dekh kar

Zain-ul-Abideen Khan Arif

Delhi, India

1817
vahshat meñ yaad aa.e hai zanjīr dekh kar
ham bhāgte the zulf-e-girah-gīr dekh kar
jab tak na ḳhaak ho jiye hāsil nahīñ kamāl
ye baat khul ga.ī hameñ iksīr dekh kar
uzr-e-gunāh dāvar-e-mahshar se kyuuñ karūñ
ġham miT gayā hai nāma-e-taqdīr dekh kar
huuñ tishna-kām-e-dasht-e-shahādat zi-bas ki maiñ
girtā huuñ āb-e-ḳhanjar-o-shamshīr dekh kar
'ārif' chhupā to ham se vale ham to pā ga.e
jo baat hai ye rañg kī taġh.īr dekh kar
Top Urdushayar.com