Zain-ul-Abideen Khan Arif

har ghaDi chalti hai talwar tere kuche mein

Zain-ul-Abideen Khan Arif

Delhi, India

1817
har ghaḌī chaltī hai talvār tire kūche meñ
roz mar rahte haiñ do chaar tire kūche meñ
haal sar kā mire zāhir hai tire kyā kiije
koī sābit bhī hai dīvār tire kūche meñ
shakl ko kyūñki na har daf.a badal kar aa.uuñ
haiñ mirī taak meñ aġhyār tire kūche meñ
ġham se badlī hai mirī shakl to be-ḳhauf-o-ḳhatar
din ko bhī aate haiñ sau baar tire kūche meñ
na kare sū-e-chaman bhuul ke bhī ruḳh hargiz
aan kar bulbul-e-gulzār tire kūche meñ
naragistāñ na samajh kholī huī āñkhoñ ko
haiñ tire tālib-e-dīdār tire kūche meñ
laa.e jab ghar se to behosh paḌā thā 'ārif'
ho gayā aan ke hoshiyār tire kūche meñ
Top Urdushayar.com