Zain-ul-Abideen Khan Arif

us pe karna mere nalon ne asar chhoD diya

Zain-ul-Abideen Khan Arif

Delhi, India

1817
us pe karnā mire nāloñ ne asar chhoḌ diyā
mujh ko ek lutf kī kar ke jo nazar chhoḌ diyā
sauñp kar ḳhāna-e-dil ġham ko kidhar jaate ho
phir na pāoge agar us ne ye ghar chhoḌ diyā
ashk-e-sozāñ ne jalā.e mire lākhoñ dāman
poñchhnā maiñ ne to ab dīda-e-tar chhoḌ diyā
baḳhiya-gar jal gayā kyā haath tirā sozish se
karte karte jo rafū chāk-e-jigar chhoḌ diyā
gulshan-e-dahr meñ ḳhāmī ne bachāyā ham ko
dekh kar ḳhaam kudūrat ne samar chhoḌ diyā
le ga.e sāmne hākim ke mire qātil ko
is ko us ne bhī samajh ḳhūn-e-pidar chhoḌ diyā
nek o bad kuchh nazar aatā nahīñ vo vahshat hai
parda ġhaflat kā mire pesh-e-nazar chhoḌ diyā
kūcha-e-zulf ko katrā ke gayā dil ruḳh par
us ne vo rasta-e-pur-ḳhauf-o-ḳhatar chhoḌ diyā
ai falak ḳhāna-ḳharābī kī hai parvā kis ko
dasht meñ rahte haiñ muddat huī ghar chhoḌ diyā
mujh pe ehsān sabā kā hai ki kūche meñ tire
ḳhaak ko merī sar-e-rāhguzar chhoḌ diyā
mujh ko ai aah ta.ajjub hai ki kāshāna-e-ġhair
kal shab-e-hijr ne barsā ke sharar chhoḌ diyā
bhar gayā dil mirā ek chiiz ko khāte khāte
ḳhūn-e-dil khā.eñge ab ḳhūn-e-jigar chhoḌ diyā
bojh se aap hī mar jā.egā kyuuñ ho badnām
ye samajh kar but-e-saffāk ne sar chhoḌ diyā
nahīñ tīr-e-nigah-e-yār se bachnā mumkin
kal hai maujūd vo din aaj agar chhoḌ diyā
aa gayā dil meñ jo aalam kā musaḳhḳhar karnā
zulf ko chehre pe hañgām-e-sahar chhoḌ diyā
ye nahīñ hai rah-e-but-ḳhāna kidhar jaanā hai
aaj se ham ne tirā saath ḳhizar chhoḌ diyā
kar diyā tīroñ se chhalnī mujhe saarā lekin
ḳhuun hone ke liye us ne jigar chhoḌ diyā
saath dekhā thā use kal to tere ai majnūñ
aaj us 'ārif'-e-vahshī ko kidhar chhoḌ diyā
Top Urdushayar.com