Zain-ul-Abideen Khan Arif

sab se behtar hai ki mujh par mehrban koi na ho

Zain-ul-Abideen Khan Arif

Delhi, India

1817
sab se behtar hai ki mujh par mehrbāñ koī na ho
ham-nashīñ koī na ho aur rāz-dāñ koī na ho
mariye is hasrat meñ gar qātil na haath aave kahīñ
roiye apne pe ḳhud gar nauha-ḳhvāñ koī na ho
biich meñ hai mere us ke tū hī ai āh-e-hazīñ
sulh kyūñkar hove jab tak darmiyāñ koī na ho
shikva kis se kījiye ḳhāliq kī marzī hai yahī
nukta-chīñ paidā hoñ lākhoñ nukta-dāñ koī na ho
mujh talak qātil to qātil maut bhī aatī nahīñ
kis ko diije jaan jab ḳhvāhān-e-jāñ koī na ho
maane gar koī nasīhat 'ārif'-e-dil-ḳhasta kī
bhuul kar bhī vāla-e-ātish-bajāñ koī na ho
Top Urdushayar.com