Zain-ul-Abideen Khan Arif

kya kahen hum the ki ya dida-e-tar baiTh gae

Zain-ul-Abideen Khan Arif

Delhi, India

1817
kyā kaheñ ham the ki yā dīda-e-tar baiTh ga.e
qulzum-e-ashk meñ juuñ laḳht-e-jigar baiTh ga.e
nā-tavāñ ham yuuñ tirī bazm se nikle kyūñkar
kise ma.alūm hai ham aa ke kidhar baiTh ga.e
aap ko ḳhuun ke aañsū hī rulānā hogā
hāl-e-dil kahne ko ham apnā agar baiTh ga.e
kis ko ik dam kā bharosa hai ki mānind-e-habāb
bahr-e-hastī meñ idhar aa.e udhar baiTh ga.e
duur samjhā hai raqīboñ ko yahāñ se 'ārif'
yaar ke paas jo be-ḳhauf-o-ḳhatar baiTh ga.e
Top Urdushayar.com