Zain-ul-Abideen Khan Arif

achchha hua ki dam shab-e-hijran nikal gaya

Zain-ul-Abideen Khan Arif

Delhi, India

1817
achchhā huā ki dam shab-e-hijrāñ nikal gayā
dushvār thā ye kaam par āsāñ nikal gayā
bak bak se nāsehoñ kī huā ye to fā.eda
maiñ ghar se chaak kar ke girebāñ nikal gayā
phir dekhnā ki ḳhizr phiregā bahā bahā
gar sū-e-dasht maiñ kabhī giryāñ nikal gayā
ḳhūbī safā-e-dil kī hamārī ye jāniye
siine ke paar saaf jo paikāñ nikal gayā
hañgāme kaise rahte haiñ apne sabab se vaañ
ham se hī nām-e-kūcha-e-jānāñ nikal gayā
furqat meñ kār-e-vasl liyā vaah vaah se
har āh-e-dil ke saath ik armāñ nikal gayā
behtar huā ki aa.e vo mahfil meñ be-naqāb
'ārif' ġhurūr-e-māh-e-jabīnāñ nikal gayā
Top Urdushayar.com