na aa.e sāmne mere agar nahīñ aatā
mujhe to us ke sivā kuchh nazar nahīñ aatā
balā use bhī to kahte haiñ log aalam meñ
ajab hai kis liye vo mere ghar nahīñ aatā
vo mere sāmne tuubā ko qad se maap chuke
unhoñ ke nām-e-ḳhudā tā-kamar nahīñ aatā
na be-ḳhatar raho mujh se ki dard-mandoñ ke
laboñ pe naala koī be-ḳhatar nahīñ aatā
Darā diyā hai kisī ne use magar 'ārif'
mire ḳharābe kī jānib ḳhizar nahīñ aatā