Sarshar Siddiqui

ek harf-e-shauq lab pe hai aur iltija ke sath

Sarshar Siddiqui

Kanpur, Uttar pradesh, India

1926-2008
ik harf-e-shauq lab pe hai aur iltijā ke saath
maiñ ik na.e safar pe huuñ apnī anā ke saath
maiñ ne ibādatoñ ko mohabbat banā diyā
āñkheñ butoñ ke saath rahīñ dil ḳhudā ke saath
kis qaht-e-etibār se guzre haiñ ahl-e-dil
rañg-e-vafā bhī uḌ gayā rañg-e-hinā ke saath
merā vajūd harf-e-taqāzā banā huā
mohr-e-qubūl us ke laboñ par hayā ke saath
gul-chehra logoñ se thā mirā bhī muāmla
āvāra maiñ bhī ho gayā mauj-e-sabā ke saath
nā-mustajāb itnī duā.eñ huiiñ ki phir
merā yaqīñ bhī uTh gayā rasm-e-duā ke saath
ghar yaad aa rahā thā chale aa.e haiñ magar
ham apne sar pe laa.e haiñ sahrā uThā ke saath
ābādiyoñ kī ḳhair manāne kā vaqt hai
jañgal kī aag phail rahī hai havā ke saath
Top Urdushayar.com