ye bār-e-ġham uThā kar dekhte haiñ
tumheñ bhī aazmā kar dekhte haiñ
baḌā hai zo.am is pāgal havā ko
diye ham bhī jalā kar dekhte haiñ
hai mumkin zindagī aa.e samajh ab
dobāra sar khapā kar dekhte haiñ
hamāre zaḳhm kā kyā haal hai vo
gale ham ko lagā kar dekhte haiñ
yaqīñ duniyā pe phir hone lagā hai
chalo phir choT khā kar dekhte haiñ
pighaltī hī nahīñ ashkoñ se duniyā
zarā sā muskurā kar dekhte haiñ
muḳhālif ishq ke tum ho jo 'vāhid'
tumhārī nas dabā kar dekhte haiñ