Vikas Joshi Wahid

safar mein ab nahin par aabla-pai nahin jati

Vikas Joshi Wahid

Indore, Madhya Pradesh, India

1965
safar meñ ab nahīñ par ābla-pā.ī nahīñ jaatī
hamārī rāstoñ se yuuñ shanāsā.ī nahīñ jaatī
raheñ ham mahfiloñ meñ yā raheñ duniyā ke mele meñ
akelā chhoḌ kar lekin ye tanhā.ī nahīñ jaatī
nigāhoñ ke ishāre bhī mohabbat bhī alāmat haiñ
sabhī bāteñ zabānī hī to batlā.ī nahīñ jaatī
baḌī nāzuk sī hai Dorī ye rishtoñ kī batā.ūñ kyā
ulajh ik baar gir jaa.e to suljhā.ī nahīñ jaatī
lagā.e koī bhī kitne yahāñ chehroñ pe chehre hī
haqīqat aa.ine se phir bhī jhuTlā.ī nahīñ jaatī
na jaane ḳhvāb haiñ kitne tamannā.eñ khilaunoñ sī
magar ye zindagī un se to bahlā.ī nahīñ jaatī
kahānī zindagī kī yuuñ to dilkash hai magar 'vāhid'
koī ik baar jo paḌh le to dohrā.ī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com