balā kī dhuup meñ aise bhī jism jaltā rahā
badan kā saaya jo apne siroñ se Dhaltā rahā
Dhalī na shām-e-alam jab talak sahar na huī
bujhe charāġh kī lau se dhuāñ nikaltā rahā
milī na manzil-e-maqsūd is liye bhī mujhe
maiñ har qadam pe nayā rāsta badaltā rahā
jahāñ bhī aañkh churā.ī safar meñ sūraj ne
koī sitāra mire saath saath chaltā rahā
bas ek umr gañvā kar qubūliyat kī 'nabīl'
tamām umr maiñ hāthoñ ko apne maltā rahā