Nabeel Ahmad Nabeel

wo ek shaKHs ba-andaz-e-mahramana mila

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
vo ek shaḳhs ba-andāz-e-mahramāna milā
milā vo jab bhī hameñ zaat se judā na milā
hameñ bhī apnī jabīñ ko jhukānā aatā thā
magar talāsh thī jis kī vo naqsh-e-pā na milā
kisī ke husn kā mazmūn ham raqam karte
so hasb-e-hāl hameñ aisā qāfiya na milā
vazāhateñ to mohabbat meñ ham bhī karte magar
kitāb-e-dil kā hameñ koī hāshiya na milā
use jafā kā jafā se javāb kyā dete
hameñ mizāj milā bhī to dostāna milā
na thā sarisht meñ āh-o-fuġhāñ kā rañg koī
isī liye to hameñ nāla-e-rasā na milā
agar mile to use hāl-e-dil hī kah denā
phir us ke ba.ad vo tum se milā milā na milā
misāl-e-mauj-e-ravāñ sab guzarte jaate haiñ
isī liye to hameñ koī nāḳhudā na milā
Top Urdushayar.com