jo naqsh miT chukā hai banānā to hai nahīñ
ujḌā dayār ham ne basānā to hai nahīñ
āñkhoñ ke diip raah meñ us ke jalā.eñ kyā
is ne palaT ke phir kabhī aanā to hai nahīñ
lāzim hai chalnā ziist kī rāhoñ pe bhī magar
jo gir paḌe kisī ne uThānā to hai nahīñ
bhar jā.egā ye thoḌī sī chāragarī ke ba.ad
taaza lagā hai zaḳhm purānā to hai nahīñ
kab tak vafā ke ma.anī batātā rahūñ use
us bevafā ne raah pe aanā to hai nahīñ
kuchh der Thahar jaa.e vo ḳhud hī ḳhudā kare
is baar koī aisā bahānā to hai nahīñ
phir ḳhvāhishoñ ke peḌ pe baiTheñge dekhnā
in panchhiyoñ kā koī Thikānā to hai nahīñ
allāh-re vafā.eñ ye ḳhūbān-e-shahr kī
manzar dhuāñ dhuāñ hai suhānā to hai nahīñ
mansūb kar duuñ maiñ jo tirī zindagī ke saath
yādoñ kā mere paas ḳhazāna to hai nahīñ
kyuuñ phir kisī ke dil meñ mohabbat basā.eñ ham
jab āshiqī meñ naam kamānā to hai nahīñ
qismat hai is ke sāmne ban jaa.e koī baat
vaise koī bhī baat banānā to hai nahīñ
sochūñ to saare log nishāne pe haiñ magar
dekhūñ koī kisī kā nishāna to hai nahīñ
vo apnā dard aap sunā.e to baat hai
ham ne kisī kā dard sunānā to hai nahīñ
ik dūsre kī ghaat meñ baiThe haiñ sab magar
is vaqt ne kisī ko bachānā to hai nahīñ
hai tā.irān-e-shauq kā maslak to ḳhāmushī
hai maslahat ki shor machānā to hai nahīñ
ishq-o-nazar kā dā.imī rishta azal se hai
majnūñ ne shahr chhoḌ ke jaanā to hai nahīñ
hāsil kiyā na is liye ta.amīr kā hunar
ham ne nayā jahān basānā to hai nahīñ
kaise rasā.ī ho mirī us ke mizāj tak
ahvāl us ne dil kā sunānā to hai nahīñ
mahrūm ham na hoñ kabhī maañ kī duāoñ se
nāyāb aisā koī ḳhazāna to hai nahīñ
dekhegā kaun chāk-e-garebān ko 'nabīl'
farhād-o-qais kā ye zamāna to hai nahīñ