Nabeel Ahmad Nabeel

hum ko ye Dar hai ki imkan kisi aur ka hai

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
ham ko ye Dar hai ki imkān kisī aur kā hai
ya.anī vo shaḳhs nigahbān kisī aur kā hai
ye jo har lahza dhaḌakte haiñ mire siine meñ
dil kisī aur kā armān kisī aur kā hai
ġhā.ebāna yahī samjhā vo faqat merā hai
jab milā to lagā nādān kisī aur kā hai
dastakeñ sun ke hī andāza huā thā ham ko
vo hamārā nahīñ mehmān kisī aur kā hai
hākim-e-shām kī bai.at se khulā hai mujh par
taḳht par ma.anī-e-qur.ān kisī aur kā hai
ham musāfir haiñ to jaanā hai kahīñ aur hameñ
ghar kisī aur kā sāmān kisī aur kā hai
ham yūñhī qarz chukāte rahe anjāne meñ
kaash ham jānte tāvān kisī aur kā hai
bāñdh kar sar pe kafan kuud paḌe haiñ jis meñ
jañg hai ġhair kī maidān kisī aur kā hai
ruḳh vo rakhtā hai ba-zāhir mirī jānib lekin
vo to merā nahīñ sultān kisī aur kā hai
maiñ huuñ nā-ḳhush ki ḳhizāñ aan paḌī hai be-vaqt
bāġhbāñ ḳhush hai ki nuqsān kisī aur kā hai
umr-bhar ham ne pilāyā hai jinheñ apnā lahū
vo bahāreñ vo gulistān kisī aur kā hai
ye makāñ kis kī virāsat hai hameñ kyā mālūm
sahn apnā hai to dālān kisī aur kā hai
sehn-e-gulshan se nikal jaane kā merā shāhā
maiñ samajhtā rahā elaan kisī aur kā hai
kārvāñ luTne kā us ko to nahīñ dard 'nabīl'
vo samajhtā hai ki nuqsān kisī aur kā hai
yuuñ bhī mahrūm haiñ ham rañg se ḳhushbū se 'nabīl'
phuul apne haiñ to gul-dān kisī aur kā hai
Top Urdushayar.com