dekh kar uThtā huā shauq kā sar ya.anī tū
kaaT Dālegā mirā dast-e-hunar ya.anī to
merī taqdīr meñ likkhegā añdheroñ kā sukūt
rauñd Dālegā mirī taaza sahar ya.anī to
bas yahī hai mire dāmān-e-safar meñ ab to
merī manzil hai mirī rāhguzar ya.anī tū
jab bhī aa.egā savā neze pe ḳhurshīd-e-ġhazab
phūlne-phalne nahīñ degā shajar ya.anī tū
mujh ko ma.alūm hai ai dost uThā letā hai
mere hisse ke sabhī barg-o-samar ya.anī tū
tere tevar ye batāte haiñ ai jaane vaale
lauT ke ab na kabhī aa.egā ghar ya.anī tū
ye guzārish hai mirī tujh se guzārish merī
merī nas nas meñ utar tū hī utar ya.anī tū
ḳhushbū-e-gul kī tarah rañg-e-shafaq kī sūrat
dil ke āñgan meñ bikhar aur bikhar ya.anī tū
nikhrā nikhrā sā hai ummīd kā mausam yuuñ bhī
shāḳh-e-ummīd pe kuchh aur sañvar aur sañvar ya.anī tū
rāh-e-ulfat meñ mujhe terī qasam jān-e-'nabīl'
hai mire pesh-e-nazar pesh-e-nazar ya.anī tū