Nabeel Ahmad Nabeel

aisi uljhan ho kabhi aisi bhi ruswai ho

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982

aisī uljhan ho kabhī aisī bhī rusvā.ī ho

dil ke har zaḳhm meñ dariyāoñ gahrā.ī ho

ishq meñ aise kisī bhī na rusvā.ī ho

har-qadam paañv meñ zanjīr nazar aa.ī ho

is tarah yaad tirī dil meñ chalī aa.ī ho

jis tarah koī kalī shāḳh pe muskā.ī ho

yuuñ guzarte haiñ tire hijr meñ din-rāt mire

jaan pe jaise kisī shaḳhs ke ban aa.ī ho

diid se pyaas bujhe chashm-e-tamannā kabhī

husn-e-zebā se dil-e-zār zebā.ī ho

qarīb aayā to aisā mujhe mahsūs huā

terī ḳhushbū mirī sāñsoñ meñ simaT aa.ī ho

aise bojhal haiñ tire ba.ad mohabbat ke qadam

jaise laḌkī kisī dehāt ghabrā.ī ho

ek arsa huā manzar nahīñ dekhā koī

husn-e-zebā se mirī aañkh meñ ra.anā.ī ho

mil bhī saktā hai hameñ manzil-e-hastī surāġh

vaqt ne paañv meñ zanjīr na pahnā.ī ho

is tarah dekhtā hai mujh ko vo ik shaḳhs yahāñ

jis tarah ek zamāne shanāsā.ī ho

rāste aise chamak uThte haiñ rafta rafta

muntazir jaise nazar raah meñ phailā.ī ho

kaash aisā bhī koī lamha mayassar aa jaa.e

ishq baat bane ġham pazīrā.ī ho

aise siine meñ pareshān hai dil honā

har taraf dhuul ho har or meñ tanhā.ī ho

dil bhī jaltā ho judā.ī meñ sharāre tarah

giilī lakḌī tarah jaan bhī sulgā.ī ho

gulshan-e-zīst meñ raqsāñ ho bahāroñ samāñ

tere āñchal se har ik shāḳh rañgvā.ī ho

husn ko ishq ke aa jaa.eñ jo ādāb kabhī

aañkh shaidā.ī na ho dil na tamannā.ī ho

arsa-e-zīst meñ aisā na koī lamha milā

kisī saa.at ne kalī pyaar mahkā.ī ho

dā.ere aise banātī hai yahāñ qaus-e-quzah

hū-ba-hū jaise kisī shoḳh añgḌā.ī ho

zindagī aise kaTī tāna-o-dushnām ke saath

merā honā bhī mire ġham shanāsā.ī ho

chain aatā hai tamannā ko na armāñ ko sakūñ

jab mohabbat kalī ḳhauf se murjhā.ī ho

bech ke ḳhud ko bhī ḳhushiyāñ na ḳharīdī jaa.eñ

terī duniyā meñ na aisī kabhī mahñgā.ī ho

mujh ko gul-rañg bahāroñ se yahī lagtā hai

jaise parvā tirī ḳhushbū ko liye aa.ī ho

dekh kar rañg bahāroñ ke mujhe lagtā hai

jaise chunarī kisī doshīza ne phailā.ī ho

phuul tarah sabhī daaġh mahakne lag jaa.eñ

kaash aisā bhī kahīñ tarz-e-masīhā.ī ho

kaisā manzar ho ki sar phoḌte dīvānoñ ke

sañg ho haath meñ aur sāmne harjā.ī ho

hai mizāj apnā alag apnī tabī.at hai judā

kaise is daur ke logoñ se shanāsā.ī ho

vo suḳhan-var jo suḳhan-var haiñ haqīqī sāhab

aise logoñ kabhī jashn-e-pazīrā.ī ho

zaḳhm us shoḳh ne is baar lagāyā vo 'nabīl'

jaise biphre hue dariyāoñ gahrā.ī ho

chaa.e cup ho 'nabīl' aur kisī yādeñ

raat pichhlā pahar ālam-e-tanhā.ī ho

aisī hālat meñ nazar aayā hai vo aaj 'nabīl'

jaise sheroñ meñ koī qāfiya-paimā.ī ho

Top Urdushayar.com