Nabeel Ahmad Nabeel

surat-e-gul kabhi zulfon mein saja kar le jae

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
sūrat-e-gul kabhī zulfoñ meñ sajā kar le jaa.e
jab bhī chāhe vo mujhe apnā banā kar le jaa.e
dil ko rakkhā hai sar-e-rāh-e-mohabbat kab se
koī to aa.e idhar aur uThā kar le jaa.e
rāt-bhar jāgtā rahtā huuñ maiñ is ḳhauf ke saath
tujh ko mujh se na koī shaḳhs churā kar le jaa.e
jab bhī aatī hai kisī aur se āñdhī aksar
mere āñgan se tire naqsh uThā kar le jaa.e
dāvat-e-ām hai us jaan ke dushman ko mujhe
talḳhiyāñ maazī kī is baar bhulā kar le jaa.e
jab bhī ta.abīr kā imkān nazar aatā hai
merī āñkhoñ se koī ḳhvāb churā kar le jaa.e
maiñ to is shaḳhs se kahtā rahā har baar 'nabīl'
mujh ko do bol mohabbat ke sunā kar le jaa.e
Top Urdushayar.com