mire vajūd ko us ne ajab kamāl diyā
ki musht-e-ḳhāk thā aflāk par uchhāl diyā
makāñ ko jhūTe makīnoñ se paak karnā thā
so maiñ ne is se har ummīd ko nikāl diyā
mirī talab meñ takalluf bhī inkisār bhī thā
vo nukta-sanj thā sab mere hasb-e-hāl diyā
badal ke rakh diye hijr o visāl ke mafhūm
mujhe to us ne baḌī kashmakash meñ Daal diyā
maiñ us kī banda-navāzī ke ramz jāntā huuñ
ki rizq-e-shauq diyā luqma-e-halāl diyā
mire ḳhudā ne atā kī mujhe zabāñ aur phir
zabāñ ko martaba-e-jur.at-e-savāl diyā