Nabeel Ahmad Nabeel

aai hai aise gham mein rawani parat parat

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
aa.ī hai aise ġham meñ ravānī parat parat
bahne lagā hai aañkh se paanī parat parat
bāñdhā hai jab se tere tasavvur ko sher meñ
sheroñ ke khul rahe haiñ ma.ānī parat parat
chhāyā rahā ho jaise buḌhāpā nafas nafas
guzrī hai aise apnī javānī parat parat
dil ke varaq varaq pe tirā naam sabt hai
ik tū hī dhaḌkanoñ meñ hai jaanī parat parat
gard-o-ġhubār ġham se aTī hai fazā fazā
hotī thī koī rut jo suhānī parat parat
lekin banā na qais kī sūrat hamārā naam
sahrā kī ḳhaak ham ne bhī chhānī parat parat
koī javāz de na sakā merī baat kā
us ne ġhalat kahā hai zabānī parat parat
yādeñ dilā rahī hai sitamgar kī baar baar
mujh ko rulā rahī hai nishānī parat parat
hāsil karūñgā jaise bhī mumkin huā use
maiñ ne 'nabīl' dil meñ hai Thānī parat parat
Top Urdushayar.com