Nabeel Ahmad Nabeel

charagh zulmat-e-be-nur mein jalana tera

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
charāġh zulmat-e-be-nūr meñ jalānā tirā
pasand aayā na logoñ ko āstāna tirā
yūñhī guzāroge tum arsa-e-hayāt agar
na hogā ek bhī pal koī jāvedāna tirā
bahut qarīb se maiñ tujh ko jāntā huuñ miyāñ
har ek ḳhuub samajhtā huuñ maiñ bahāna tirā
hameñ banāoge jis vaqt lashkarī apnā
ḳhatā na hogā kisī taur bhī nishāna tirā
na koī tujh ko bachā.egā qatl hone se
paḌheñge log janāza bhī ġhā.ebāna tirā
na degā koī bhī mushkil ghaḌī meñ saath tirā
agarche aaj ye girvīda hai zamāna tirā
sivā.e ek kafan ke na kuchh milegā tujhe
kisī bhī kaam na aa.egā ye ḳhazāna tirā
ise badalnā hai ik roz ḳhaak meñ āḳhir
sajā ke rakkhegā jo bhī nigār-ḳhāna tirā
'nabīl' is ke sivā aur kyā diyā tum ne
hamārī piiTh hai aur dost tāziyāna tirā
Top Urdushayar.com