Nabeel Ahmad Nabeel

aise wo dastan khinchta hai

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
aise vo dāstān khīñchtā hai
har yaqīñ par gumān khīñchtā hai
terī furqat kā ek ik lamha
jism se merī jaan khīñchtā hai
jab bhī maiñ āsmāñ ko chhūne lagūñ
paañv ko mehrbān khīñchtā hai
manzil-e-zīst ke kisī bhī taraf
apnī jānib nishān khīñchtā hai
maiñ haqīqat jahāñ bhī likhtā huuñ
vo vahī dāstān khīñchtā hai
jab haqīqat bayāñ karūñ us kī
mere muñh se zabān khīñchtā hai
sar-zamīn-e-vatan pe ab vo 'nabīl'
apnā har sū makān khīñchtā hai
Top Urdushayar.com