tum ne kiyā hai tum ne ishārā bahut ġhalat
dariyā bahut durust kinārā bahut ġhalat
is haar meñ hai haath tumhārā bahut ġhalat
tum ne kiyā hai faisla saarā bahut ġhalat
ham Duub jaa.eñ apne hī ġham ke bahāo meñ
haañ haañ ġhalat ġhalat mire yaarā bahut ġhalat
is kisht-e-dil se is ke dil-e-reg-zār tak
bahne lagā hai ḳhuun kā dhārā bahut ġhalat
afsos mujh ko is pe sazā hijr kī milī
maiñ ne likhā thā naam tumhārā bahut ġhalat
maidāñ meñ ek fard bhī zinda na mil sakā
shab-ḳhūn us ne āḳhirī maarā bahut ġhalat
ham haiñ zamīñ ke log magar dekh ai falak
letā hai imtihāñ tū hamārā bahut ġhalat
hogā kisī to roz tumhārā hisāb bhī
tum ne kisī ġharīb ko maarā bahut ġhalat
vāqif thā apne ishq ke anjām se magar
phir bhī kisī pe jaan ko vaarā bahut ġhalat
ham dil-zadoñ ke vāste ye shab hī Thiik hai
niklā hai shab kā āḳhirī taarā bahut ġhalat
afsos ai 'nabīl' ye tum ne samajh liyā
dil ko bhī jal bujhā sā sharārā bahut ġhalat
chehra sadāqatoñ kā huā masḳh ai 'nabīl'
us ne bahāyā jhuuT kā dhārā bahut ġhalat