kahīñ jo azm zarā hausla nikal aa.e
fasīl-e-ġham se nayā rāstā nikal aa.e
na pūchh mujh se tū us husn-e-dilrubā kī kashish
jidhar bhī dekhe vahāñ aa.ina nikal aa.e
kisī navāh kī bhī baat ho magar ai dost
miyān-e-bazm tirā tazkira nikal aa.e
maiñ māntā huuñ nahīñ tujh sā dūsrā koī
koī jo tere sivā dūsrā nikal aa.e
sināñ kī nok pe aa jaa.e gar mirā sar bhī
falak se ūñchā mirā martaba nikal aa.e
maiñ us ḳhudā.ī meñ zinda huuñ ik zamāne se
har ik galī se nayā ik ḳhudā nikal aa.e
'nabīl' is liye maiñ āshiqī se baaz aayā
jise bhī pyaar karūñ bevafā nikal aa.e