tū na aa.egā mujhe jab se yaqīñ aa gayā hai
āsmāñ jaise mirā zer-e-zamīñ aa gayā hai
jis ke milne ko masāfat thī ka.ī barsoñ kī
ek hī pal meñ vo ham-zād yahīñ aa gayā hai
nikhrā nikhrā sā hai har sher ġhazal kā merī
soch meñ jab se tasavvur vo hasīñ aa gayā hai
har taraf tanz ke nashtar haiñ hamārī jānib
kis ke hāthoñ meñ mirā dīn-e-mubīñ aa gayā hai
aa gayā kaam mire roz kā ronā dhonā
jo na aatā thā kabhī mere qarīñ aa gayā hai
gardish-e-vaqt Talī ek hī lamhe ko yūñhī
ruḳh pe zulfoñ ko bikhere vo hasīñ aa gayā hai
sehn-e-gulshan meñ sarāsīmgī kaisī hai 'nabīl'
ahl-e-gulshan meñ koī dasht-nashīñ aa gayā hai