Nabeel Ahmad Nabeel

kis tarah banaen hum apna ye makan yaro ret is nagar ki hai inT is nagar ki hai

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
kis tarah banā.eñ ham apnā ye makāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
joḌte unheñ kaise aur phir kahāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
ek hasrat-e-tāmīr dil meñ jo zarā sī thī Dar thā jaag uTThegī aur jaag uTThī hai
kaan khol kar sun lo tum mirā bayāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
ye to jānte sab haiñ ham bhī sochte ab haiñ jis nagar meñ rahte the us nagar meñ rahte haiñ
ek hai zamīñ apnī ek āsmāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
ghar nahīñ agar apnā ghar meñ jā to sakte haiñ dar nahīñ agar apnā dar to khol sakte haiñ
aa ke kah gayā ham ko kaun darmiyāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
is muqaddame par bhī ik muqaddama hogā zor-o-shor se hogā aur aaj hī hogā
khol kar agar dekheñ un kī ham dukāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
kyā sabaq paḌhāte haiñ shahr ko diyānat kā aa gayā hai jab is par faisla adālat kā
aap kyuuñ pakaḌte haiñ un kī choriyāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
roz maiñ bikhartā huuñ roz hī bikhartā hai mere ghar kā shīrāza tum karo jo andāza
kyā sunā gayā koī ghar kī dāstāñ yaaro ret us nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
ghurkhiyoñ ke gaañv se ret uThā ke laa.e the iiñT shahr se lī thī ye na thā magar ma.alūm
jhelnā paḌeñgī phir ghar kī ghurkiyāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
iiñT le gayā koī ret le gayā koī mujh ko zindagī-bhar kā rog de gayā koī
roz kahtā phirtā huuñ maiñ yahāñ vahāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
iiñT ret se ham ne ik makāñ banāyā thā ham ne haañ banāyā thā par kahāñ banāyā thā
go ki jānte haiñ ham zer-e-āsmāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
nūn-mīm-'rāshid' se ham 'nabīl' pūchheñge zindagī to tum bhī ho zindagī to ham bhī haiñ
kis tarah banā.eñ ham nazm kā jahāñ yaaro ret is nagar kī hai iiñT is nagar kī hai
Top Urdushayar.com