Nabeel Ahmad Nabeel

chur the log jo sangini-e-hijrat se yahan

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
chuur the log jo sañgīnī-e-hijrat se yahāñ
saañs bhī aatā nahīñ un ko suhulat se yahāñ
vo kisī phuul kisī ġhunche ke haqdār nahīñ
dasht gulzār banāte haiñ jo mehnat se yahāñ
choġhā pahnāyā gayā jhuuT kā sachchā.ī ko
aur ma.ānī liye nafrat ke mohabbat se yahāñ
ham ne buniyād rakhī zahr-bujhe sajdoñ kī
teġh kā kaam liyā ham ne ibādat se yahāñ
haath hālāt ne Daale haiñ garebānoñ meñ
zindagī kaise guzāre koī izzat se yahāñ
peT pe bāñdhā gayā sabr kā bhārī patthar
aur guzārā gayā har lamha mashaqqat se yahāñ
sāhab-e-mimbar-o-mehrāb bhī kyā bhūkā hai
peT kī aag bujhātā hai sharī.at se yahāñ
saañs chubhtā rahā kāñTe kī tarah dil meñ 'nabīl'
jism Dhalte rahe chhāloñ meñ aziyyat se yahāñ
Top Urdushayar.com