Nabeel Ahmad Nabeel

zindagi teri tamanna mein basar ho jae

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
zindagī terī tamannā meñ basar ho jaa.e
aur kyā chāhiye jo bār-e-digar ho jaa.e
dard kī dhuup Dhale aas kā mausam nikhre
tere imkān kā paudā jo shajar ho jaa.e
apnī sachchā.ī kā phir mujh ko yaqīñ aa.egā
zīnat-e-dār-o-rasan merā jo sar ho jaa.e
zindagī karne kā aa jaa.e salīqa jo hameñ
sūrat-e-ḳhuld-e-barīñ apnā ye ghar ho jaa.e
mujh ko bas itnā hī sāmān-e-safar kaafī hai
merī manzil hī mirā raḳht-e-safar ho jaa.e
khil uThe phuul kī mānind muqaddar merā
mere mahbūb agar terī nazar ho jaa.e
hāsil-e-zīst vahī merī tamannā hai vahī
vo kisī roz muqaddar kā samar ho jaa.e
ġham-e-duniyā se mile mujh ko rihā.ī ai 'nabīl'
merī aahoñ kā agar us pe asar ho jaa.e
koī dāman na uḌe zard havāoñ se 'nabīl'
gar sahārā jo bashar kā ye bashar ho jaa.e
Top Urdushayar.com