lahū kī aañch jaisā ho rahā hai
tumhārā ġham sitāra ho rahā hai
ye kaun aayā hai bām-e-ārzū par
fazāoñ meñ ujālā ho rahā hai
jhaḌī hai dhuul kis ke naqsh-e-pā se
bahut āsān rasta ho rahā hai
sikuḌtī jā rahī hai mujh pe dhartī
badan merā kushāda ho rahā hai
mirī palkoñ pe ik mauhūm aañsū
ki shabnam se sharāra ho rahā hai
samajhtī hai yahī duniyā ki mujh ko
mohabbat meñ ḳhasāra ho rahā hai
asā jab se 'nabīl' aayā mayassar
samundar bhī kinārā ho rahā hai