ye hādisa bhī sar-e-rahguzār honā thā
tirī talāsh meñ mujh ko ġhubār honā thā
uchak liyā hai unheñ bhī ḳhizāñ ke mausam ne
vo phūl-pāt ki jin ko bahār honā thā
hameñ ḳhabar thī tirī tarz-e-bādshāhī se
hunar-varo.v ko hī be-iḳhtiyār honā thā
unhī ke haath garebān meñ paḌe hue haiñ
jinheñ sadā se hī ḳhidmat-guzār honā thā
gumāñ kī dhuul mire dil pe mal gayā hai vahī
vo shaḳhs jis ko mirā e'tibār honā thā
bharosa ġhair kī chhāñv pe ham na karte agar
saroñ pe sāya-e-parvardigār honā thā
badal diyā unheñ miTTī ke bartanoñ meñ 'nabīl'
vo chīzeñ jin ko bahut pā.edār honā thā