Nabeel Ahmad Nabeel

teri talash mein hai saeban bhi hum bhi

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
tirī talāsh meñ hai sā.ebān bhī ham bhī
hamāre saath hamārī thakān bhī ham bhī
falak ko chhūne kī ḳhvāhish hazār dil meñ liye
ki sargirāñ hai hamārī uḌaan bhī ham bhī
hai intizār meñ barsoñ se rahnumāoñ ke
hamārī manzil-e-jāñ kā nishān bhī ham bhī
vahī hai nok-e-sinān-e-sitam-garān-e-jahāñ
vahī hai karb-o-balā imtihān bhī ham bhī
isī kā naam liye jā.eñge qayāmat tak
hamāre saath rahegī azaan bhī ham bhī
talāsh-e-manzil-e-hastī meñ ik zamāna huā
bhaTakte phirte haiñ sab kārvān bhī ham bhī
isī purānī kahānī pe ham jiye jaa.eñ
vahī havāle vahī dāstān bhī ham bhī
'nabīl' roz-e-azal se the jaise vaise haiñ
sitamgaroñ ke sitam haiñ lagān bhī ham bhī
Top Urdushayar.com