har ek zaḳhm kī shiddat ko kam kiyā jaatā
namak se kaam na marham kā gar liyā jaatā
diloñ kā bojh diloñ se utārne ke liye
ye lāzmī thā garebān ko siyā jaatā
zamāna paañv kī Thokar meñ aa bhī saktā thā
saroñ ko apne uThā kar agar jiyā jaatā
kamī na aatī tire ehtirām meñ shāhā
kisī ġharīb kā haq jo use diyā jaatā
hamārī maut bhī hotī baqā hamārī 'nabīl'
ki pyāla zahr kā hāthoñ se gar piyā jaatā