aisī uljhan ho kabhī aisī bhī rusvā.ī ho
dil ke har zaḳhm meñ dariyāoñ sī gahrā.ī ho
yuuñ guzarte haiñ tire hijr meñ din-rāt mire
jaan pe jaise kisī shaḳhs ke ban aa.ī ho
phuul kī misl sabhī daaġh mahakne lag jaa.eñ
kaash aisā bhī kahīñ tarz-e-masīhā.ī ho
kaisā manzar ho ki sar phoḌte dīvānoñ ke
sañg ho haath meñ aur sāmne harjā.ī ho
vo suḳhan-var jo suḳhan-var haiñ haqīqī sāhab
aise logoñ kā kabhī jashn-e-pazīrā.ī ho
hai mizāj apnā alag apnī tabī.at hai judā
kaise is daur ke logoñ se shanāsā.ī ho
chaa.e kā cup ho 'nabīl' aur kisī kī yādeñ
raat kā pichhlā pahar ālam-e-tanhā.ī ho