Nabeel Ahmad Nabeel

hare hain zaKHm kuchh is tarah bhi mere sar ke

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
hare haiñ zaḳhm kuchh is tarah bhī mire sar ke
tamām umr uThā.e haiñ naaz patthar ke
lahūluhān huā hai mirā badan yuuñ bhī
pakaḌ na paayā kabhī haath maiñ sitamgar ke
bas ek harf-e-muqarrar ke jurm meñ ham ne
zabāñ pe vaar hazāroñ sahe haiñ ḳhanjar ke
vo log laayā gayā hai jinheñ barābar meñ
kisī tarah bhī nahīñ the mire barābar ke
kuchh aise zaḳhm bhī sar ko jhukā ke khaa.e haiñ
jo mire baḳht ke the aur na the muqaddar ke
yahī utāreñge manzil pe ek din mujh ko
ye jitne zaḳhm haiñ paañv meñ mire Thokar ke
'nabīl' aaj vo sar pe savār haiñ mere
jo log ghar meñ basā.e the maiñ ne bāhar ke
Top Urdushayar.com