tai huā hai us taraf kī rahguzar kā jāgnā
mere paañv meñ kisī lambe safar kā jāgnā
bolte the kyā parinde se dar-o-dīvār par
yaad hai ab bhī mujhe vo apne ghar kā jāgnā
ab kahāñ mausam hai vo dār-o-rasan kā dosto
ab kahāñ ushshāq ke shānoñ pe sar kā jāgnā
varna mujh ko dhuup kā sahrā kabhī na chhoḌtā
aa gayā hai kaam mere ik shajar kā jāgnā
ik purānī aarzū Thahrī ujāloñ kī talab
ik purānā ḳhvāb Thahrā hai sahar kā jāgnā
āsmāñ khulte ga.e mujh par zamīnoñ kī tarah
ek lamhe ke liye thā bāl-o-par kā jāgnā
maiñ 'nabīl' is ḳhauf se ik umr soyā hī nahīñ
zindagī-bhar kā hai sonā lamha-bhar kā jāgnā