Nabeel Ahmad Nabeel

hazar koshish-e-paiham ke bawajud hamein

Nabeel Ahmad Nabeel

Punjab, Pakistan

1982
hazār koshish-e-paiham ke bāvajūd hameñ
tamām umr koī dost bā-vafā na milā
kahāñ kā vasl mulāqāt hī ġhanīmat hai
phir us ke ba.ad vo ham se milā milā na milā
vo jis ko ham ne zamāne se baḌh ke chāhā thā
us ek shaḳhs kī chāhat meñ kuchh mazā na milā
tirī judā.ī ke sahrā meñ kho ga.e aise
surāġh apnā kahīñ aur kahīñ patā na milā
ye kā.enāt ki be-rañg hotī jaatī hai
jo dil kā rañg dikhātī vo aa.ina na milā
talāshte rahe kāñToñ meñ phuul se paikar
mizāj ham ko azal se hī āshiqāna milā
tamām umr hī rastoñ kī ḳhaak chhānī hai
hameñ to manzil-e-hastī tirā patā na milā
hameñ jo raah dikhātā qadam qadam pe 'nabīl'
misāl-e-ḳhizr koī aisā rahnumā na milā
ḳhud aap apne muqābil meñ aa ga.e haiñ 'nabīl'
hameñ mizāj milā bhī to bāġhiyāna milā
Top Urdushayar.com